Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_6bfef430f78ad63f1421ee8adc4fc9a3, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Raat Bhar Furqat Ke Sae Dil Ko Dahlate Rahe - Zaheer Ahmad Zaheer Poetry In English - Darsaal

Raat Bhar Furqat Ke Sae Dil Ko Dahlate Rahe

raat bhar furqat ke sae dil ko dahlate rahe

zehn mein kya kya KHayal aate rahe jate rahe

sainkaDon dilkash bahaaren thin hamari muntazir

hum teri KHwahish mein lekin Thokaren khate rahe

umr bhar dekha na apne chaak-e-daman ki taraf

bas teri uljhi hui zulfon ko suljhate rahe

jin ki KHatir pi gae ruswaiyon ka zahr bhi

wo bhari mahfil mein hum par tanz farmate rahe

teri KHatir ishq mein barbaad hona tha hue

hum na mane log hum ko lakh samjhate rahe

(1040) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Raat Bhar Furqat Ke Sae Dil Ko Dahlate Rahe In English By Famous Poet Zaheer Ahmad Zaheer. Raat Bhar Furqat Ke Sae Dil Ko Dahlate Rahe is written by Zaheer Ahmad Zaheer. Read famous Poem Raat Bhar Furqat Ke Sae Dil Ko Dahlate Rahe for youth and Student by Zaheer Ahmad Zaheer. Free Download Raat Bhar Furqat Ke Sae Dil Ko Dahlate Rahe in PDF.