Ghurur-o-naz-o-takabbur Ke Din To Kab Ke Gae
ghurur-o-naz-o-takabbur ke din to kab ke gae
zahir ab wo zamane hasab-nasab ke gae
bahut ghurur gulistan mein tha gulabon ko
tumhein jo dekha to hosh-o-hawas sab ke gae
macha hai shor KHizan ka hai ruKH usi jaanib
agar ye sach hai to samjho ki hum bhi ab ke gae
KHulus se na sahi rasm hi nibhane ko
tum aa gae ho to shikwe tamam lab ke gae
wo chandni wo tabassum wo pyar ki baaten
hui sahar to wo manzar tamam shab ke gae
kabhi to halqa-e-zanjir-e-yas bhi TuTe
kabhi to lauT ke aaen wo lamhe jab ke gae
(1416) Peoples Rate This