Basti Basti Jangal Jangal Ghuma Main

basti basti jangal jangal ghuma main

lekin apne ghar mein aa kar soya main

jab bhi thakan mahsus hui hai raste ki

buDhe-bargad ke sae mein baiTha main

kya dekha tha aaKHir meri aankhon ne

chalte chalte raste mein kyun Thahra main

jab bhi jhuk kar milta hun main logon se

ho jata hun apne qad se uncha main

ThanDe mausam se bhi main jal jata hun

sukhi barish mein bhi aksar bhiga main

jab jab bachche buDhi baaten karte hain

yun lagta hai dekh raha hun sapna main

sare manzar sune sune lagte hain

kaisi basti mein 'tabish' aa pahuncha main

(1097) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Basti Basti Jangal Jangal Ghuma Main In English By Famous Poet Zafar Tabish. Basti Basti Jangal Jangal Ghuma Main is written by Zafar Tabish. Read famous Poem Basti Basti Jangal Jangal Ghuma Main for youth and Student by Zafar Tabish. Free Download Basti Basti Jangal Jangal Ghuma Main in PDF.