Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_cbd077c0f3e06df9c680bbe8dc01f0f4, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Yaad Mein Teri Do-alam Ko Bhulana Hai Hamein - Zafar Taban Poetry In English - Darsaal

Yaad Mein Teri Do-alam Ko Bhulana Hai Hamein

yaad mein teri do-alam ko bhulana hai hamein

umr bhar ab kahin aana hai na jaana hai hamein

kahte hain ishq ka anjam bura hota hai

ab to kuchh bhi ho mohabbat ko nibhana hai hamein

KHalish-e-ishq se bechain hai dil ek taraf

is pe yarab gham-e-hasti bhi uThana hai hamein

hae wo aag jo mushkil se jali thi dil mein

aaj us aag ke shoalon ko bujhana hai hamein

ruKHsat-e-arz-e-tamanna nahin milti na mile

qissa-e-shauq nigahon se sunana hai hamein

aap kanTon se jo bachte hue chalte hain chalen

daman-e-shauq ko phulon se bachana hai hamein

hae is sharm-e-mohabbat ka bura ho 'taban'

ishq ka raaz KHud un se bhi chhupana hai hamein

(865) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yaad Mein Teri Do-alam Ko Bhulana Hai Hamein In English By Famous Poet Zafar Taban. Yaad Mein Teri Do-alam Ko Bhulana Hai Hamein is written by Zafar Taban. Read famous Poem Yaad Mein Teri Do-alam Ko Bhulana Hai Hamein for youth and Student by Zafar Taban. Free Download Yaad Mein Teri Do-alam Ko Bhulana Hai Hamein in PDF.