Sabze Se Sab Dasht Bhare Hain Tal Bhare Hain Pani Se

sabze se sab dasht bhare hain tal bhare hain pani se

mere andar KHali-pan hai kis ki be-imani se

ab ke apni chhat bhi khuli hai diwaron mein dar hain bahut

barish dhup hawa jo chahe aa jae aasani se

sachchai hamdardi yari yun hum mein se chali gai

jaise KHud kirdar KHafa ho jaen kisi kahani se

chehre par jo kuchh bhi likha hai wo sab ek haqiqat hai

aaina kya dekh rahe ho tum itni hairani se

taqriren deti hain dilase ya nafrat phailati hain

tu main aur tariKHen lekin banti hain qurbani se

KHun ke rishte KHun mein Dube ek zamin ke TukDe par

sadiyon ka apna-pan bhule hum kitni aasani se

(1008) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sabze Se Sab Dasht Bhare Hain Tal Bhare Hain Pani Se In English By Famous Poet Zafar Sahbai. Sabze Se Sab Dasht Bhare Hain Tal Bhare Hain Pani Se is written by Zafar Sahbai. Read famous Poem Sabze Se Sab Dasht Bhare Hain Tal Bhare Hain Pani Se for youth and Student by Zafar Sahbai. Free Download Sabze Se Sab Dasht Bhare Hain Tal Bhare Hain Pani Se in PDF.