Jab Adhure Chand Ki Parchhain Pani Par PaDi
jab adhure chand ki parchhain pani par paDi
raushni ek na-mukammal si kahani par paDi
dhup ne kachche-phalon mein dard ka ras bhar diya
ishq ki uftad na-puKHta jawani par paDi
gard KHamoshi ki sab mere dahan se dhul gai
is qadar barish suKHan ki be-zabani par paDi
us ne apne qasr se kab jhank kar dekha hamein
kab nazar us ki hamari be-makani par paDi
asl sone par tha jitna bhi mulamma jal gaya
dhup is shiddat ki alfaz o maani par paDi
tark kijiye ab dilon mein narm goshon ki talash
be-hisi ki KHak harf-e-mehrbani par paDi
zaKHm-e-dil us ki tawazo mein namak-dan ban gaya
ye musibat bhi hamari mezbani par paDi
apne hathon TuTne ka tajraba to ho gaya
choT be-shak saKHt thi jo KHush-gumani par paDi
(1045) Peoples Rate This