Chilchilati Dhup Ne Ghussa Utara Har Jagah
chilchilati dhup ne ghussa utara har jagah
chaDh gaya unchai par zehnon ka para har jagah
is zamin par hum jahan bhi hain wahan taraj hain
aaj-kal gardish mein hai apna sitara har jagah
apni kya ginti farishte bhi wahan mare gae
KHwahishon ne meinka ka rup dhaara har jagah
mang leti hai hawa achchhe mawaqe dekh kar
ek na ek muTThi mein rahta hai sharara har jagah
gharq tufanon mein kar do ya bhanwar mein Dal do
himmaton ke hath chhute hain kinara har jagah
tum nahin badle maha-bhaarat ke andhe baadshah
har jagah sabit the hum tum ne nakara har jagah
(1167) Peoples Rate This