Be-hisi Par Hissiyat Ki Dastan Likh Dijiye

be-hisi par hissiyat ki dastan likh dijiye

dhup se ab barf par aab-e-rawan likh dijiye

katib-e-taqdir Thahre aap ko rokega kaun

jo bhi ankur sar uThae raegan likh dijiye

aap ki aankhon mein chubh jaegi warna raushni

hum charaghon ke muqaddar mein dhuan likh dijiye

mushtahar ho jaunga firqa-parasti ke liye

meri peshani pe aap urdu zaban likh dijiye

hum gharibon se riayat ki zarurat hi nahin

subhen dozaKH hain to shamon ko dhuan likh dijiye

aap to shayad qasam hi kha chuke taKHrib ki

har jagah dharti pe ab aatish-fishan likh dijiye

(1106) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Be-hisi Par Hissiyat Ki Dastan Likh Dijiye In English By Famous Poet Zafar Sahbai. Be-hisi Par Hissiyat Ki Dastan Likh Dijiye is written by Zafar Sahbai. Read famous Poem Be-hisi Par Hissiyat Ki Dastan Likh Dijiye for youth and Student by Zafar Sahbai. Free Download Be-hisi Par Hissiyat Ki Dastan Likh Dijiye in PDF.