KHush-guman Har Aasra Be-asra Sabit Hua
KHush-guman har aasra be-asra sabit hua
zindagi tujh se talluq khokhla sabit hua
jab shikayat ki kabida-KHatiri hasil hui
sabr-e-mahrumi mera harf-e-dua sabit hua
be-talab milti rahen yun to hazaron nematen
the talab ki aas mein barham to kya sabit hua
ru-ba-ru hote hue bhi hum rahe manzil se dur
ek ana ka masala zanjir-e-pa sabit hua
aah bhar kar chal diye sab hi tamasha dekh kar
waqt par jo DaT gaya wo dewta sabit hua
TuT kar bikhra mere dil se yaqin ka aaina
main use samjha tha kya lekin wo kya sabit hua
sans jo aaya badan mein tha wafa se ham-kanar
aur jab wapas hua to bewafa sabit hua
sar ke shaidai bahut mayus mahfil se uThe
jab 'zafar' jaisa suKHan-war be-nawa sabit hua
(1377) Peoples Rate This