Kabhi Dua To Kabhi Bad-dua Se LaDte Hue
kabhi dua to kabhi bad-dua se laDte hue
tamam umr guzari hawa se laDte hue
hue na zer kisi intiha se laDte hue
mahaz haar gae hum qaza se laDte hue
bikhar raha hun faza mein ghubar ki surat
KHilaf-e-maslahat apni ana se laDte hue
faza badalte hi jag uTThi fitrat-e-mai-kash
shikast kha gai tauba ghaTa se laDte hue
qalam ki nok se bahta raha lahu mera
hisar-e-KHilqat-e-fikr-e-rasa se laDte hue
junun naward ko manzar na koi ras aaya
mara to shoKHi-e-ab-o-hawa se laDte hue
pahunch sake na kisi KHush-gawar manzil tak
tumhaari yaad ki zanjir-e-pa se laDte hue
unhin pe band hua irtiqa ka darwaza
fana hue hain jo apni baqa se laDte hue
'zafar' ghire to usi razm-e-gah-e-hasti mein
hue shahid saf-e-karbala se laDte hue
(1379) Peoples Rate This