Sharir Bachche
hum ko hai faKHr is par hum hain sharir bachche
mahir hain apne fan mein hum be-nazir bachche
pille ko ghar mein laen banhon mein hum jakaD kar
mauqa mile to khinchen billi ki dum pakaD kar
dekhen agar gadhe ko daghen use salami
apna jo bas chale to us ki karen ghulami
bakre pe baiTh kar hum galiyon mein roz ghumen
chun-chun kare jo chuza us ko zarur chumen
bistar ki sabz chadar KHargosh ko uDha den
munnu ki lal Topi bakre ko hum pahna den
dada-miyan ka chashma aankhon mein hum laga kar
rasta chalen kamar ko apni zara jhuka kar
aaya nasihaton par hum ko na kan dena
murghon ke sath mil kar bhae azan dena
baji ka har dupaTTa apna bane amama
joker banen pahan kar bhayya ka paejama
sofon pe KHub kuden udham bahut machaen
mil jae jo kanastar phir Dhol hum bajaen
garmi ki dopahar mein baghon ki KHak phanken
chiDiyon ke ghonslon mein ja ja ke roz jhanken
amrud hon jo kachche un ko zarur toDen
sab kaam chhuT jae ye kaam hum na chhoDen
pani mein rang gholen us ka banaen sharbat
peDon pe chaDh ke baiThen samjhen use hi parbat
kutte ko dekhte hi dauDaen le ke DanDa
apni bahaduri ka lahraen KHub jhanDa
yaron ke sath mil kar qawwaliyan bhi gaen
tabla bajaen munh se aur tan bhi uDaen
insaf-war hain jitne wo is ko mante hain
duniya ki har shararat hum KHub jaante hain
hum ko hai faKHr is par hum hain sharir bachche
mahir hain apne fan mein hum be-nazir bachche
(1831) Peoples Rate This