Nanha Pauda
garche pauda abhi hun chhoTa sa
aarzu dil mein hai mere kya kya
aa hi jaegi rut jawani ki
yani mujh par bhi shadmani ki
Dali Dali meri hari hogi
aur phal phul se bhari hogi
faiz hoga jahan mein aam mera
KHidmat-e-KHalq hoga kaam mera
sari chiDiyon ko main bulaunga
KHub mewe unhen khilaunga
ghonsle mujh pe wo banaengi
rag chheDengi chahchahaengi
jo bhi aaega un ka karne shikar
mere patton ki dekhega diwar
garmiyon mein musafir aaenge
mere sae mein chain paenge
bachche aaenge jhula jhulenge
git ga ke KHushi mein phulenge
wo chalaenge mujh pe jab patthar
is ke badle main in ko dunga samar
ek KHwahish hai aur dil mein baDi
kash wo bhi kare KHuda puri
sukh jaun to lakDiyon se meri
KHubsurat si ek bane kursi
us pe baiThe faqat wahi laDka
jis ke sar mein ho ilm ka sauda
dil mein apne jo main ne Thani hai
us ki ye muKHtasar kahani hai
main bhi bachcha hun tum bhi bachche ho
main bhi sachcha hun tum bhi sachche ho
kya banaya hai zindagi ka plan
main to rakhta hun tum se nek guman
aaj chhoTe ho kal jo hoge jawan
kaun se kaam tum karoge yahan
(1298) Peoples Rate This