Kitaben
samajhta hai ise sara zamana
kitaben ilm-o-hikmat ka KHazana
dilon ka nur hain achchhi kitaben
charagh-e-tur hain achchhi kitaben
hamari munis o gham-KHwar hain ye
jihad-e-ilm ki lalkar hain ye
kitaben kya hain ruhani KHuda hain
sakun dil ka dawaon ki dawa hain
hamari kyun na ho manzil kitaben
rasulon par huin nazil kitaben
kitabon se hai jis ki aashnai
baDi daulat jahan mein us ne pai
kitaben kaamyabi ka hain zina
rakhen aabaad ye dil ka madina
kitabon ki rifaqat bhi ajab hai
talluq toDna in se ghazab hai
sadaqat ka yahi rasta dikhaen
buron ko bhi yahi achchha banaen
sikhati hain ye jine ka tariqa
batati hain hamein kya hai saliqa
kisi ne munh kitabon se jo phera
yaqinan us ko zillat ne hai ghera
kitabon se agar KHali makan hai
wo hai bhuton ka maskan ghar kahan hai
kitabon se halawat guftugu mein
sharafat ka asar baqi lahu mein
kitabon se jahan mein nam zinda
hamari subh zinda sham zinda
kitabon se sada rishta baDhao
isi mein zindagi apni lagao
(1346) Peoples Rate This