Kawwa Aur Koyal
kisi kawwe ne ek koyal se pucha
bata bahna ki hai ye majra kya
ghazab hai ye ki hum donon hain kale
KHuda ke fazl se hain aql wale
magar duniya kare kyun pyar tujh se
rahen chhoTe baDe bezar mujh se
tera hi nam hai sab ki zaban par
tera jadu to hai sare jahan par
jo shaer hain likhen tera tarana
bata tera hai kyun aashiq zamana
raha karti hai tu bachchon ke dil mein
magar ek main ki chuha jaise bil mein
jahan ja kar karun main kaen kaen
wahan se mar kar mujh ko bhagaen
nazar mein tir aur talwar ban kar
khaTakta hun dilon mein KHar ban kar
jise dekho use mujh se hai wahshat
sabhi ko nam se mere hai nafrat
kaha koyal ne kawwe se ki bhai
na kyun teri samajh mein baat aai
jise aati na ho shirin-bayani
kare kya wo dilon par hukmarani
hain sab us ke jo miThe bol bole
jo lab khol to ras kanon mein ghole
kahan main bolne mein chukti hun
magar jab bolti hun kukti hun
meri aawaz mein phulon ki narmi
teri aawaz mein shoalon ki garmi
zaban se main bani aaankhon ka tara
magar teri zaban ne tujh ko mara
tu jis din sikh lega KHush-kalami
milegi har jagah tujh ko salami
(1157) Peoples Rate This