Aata Hai Yaad Mujhko
aata hai yaad mujh ko school ka zamana
wo doston ki sohbat wo qahqahe lagana
anwar aziz raju munnu ke sath mil kar
wo taliyan bajaana bandar ko munh chiDana
ro ro ke mangna wo ammi se roz paise
ja ja ke hoTalon mein barfi malai khana
paDhne ko jab bhi ghar par kahte the mere bhai
karta tha dard-e-sar ka akasr hi main bahana
milti nahin thi fursat din raat khelne se
yun raegan hua tha paDhne ka wo zamana
kaise kahun kisi se ab kya hai haal mera
khane ko mushkilon se milta hai ek dana
har ek qadam pe lagti hai Thokaron pe Thokar
ja kar rahun kahan par milta nahin Thikana
afsar bane hain is dam mere hi ham-jamaat
un se haya ke mare paDta hai munh chhupana
bachcho na tum samajhna hargiz ise kahani
ye hai tumhaare haq mein ibrat ka taziyana
hoga bhala tumhaara sun lo 'zafar' ki baaten
khelo zarur lekin paDhne mein dil lagana
(1322) Peoples Rate This