Nam Se Gandhi Ke ChiDh Bair Aazadi Se Hai
nam se gandhi ke chiDh bair aazadi se hai
nafraton ki khad hain ulfat magar khadi se hai
aalimon ka ilm se wo rabt hai is daur mein
rabt dhobi ke gadhe ka jis tarah ladi se hai
KHwab-e-ghaflat se wahi nisbat hai meri qaum ko
aashiqon ka jo talluq dil ki barbaadi se hai
shauharon se bibayan laDti hain chhapa-mar jang
rabta un ka bhi kya kashmir ki wadi se hai
dekhna hai ab yahi deta hai kis ko kaun mat
samna janta ka phir kursi ke fariyaadi se hai
jaise sayyaadon ko sayyaadi se rahti hai gharaz
kaam ustadon ko waise apni ustadi se hai
bap dada ke hi nusKHe mein hai apni bhi shifa
hum ko derina talluq KHana-damadi se hai
sharm se hota nahin hai wasta be-sharm ko
jo muKHannas ho use kya wasta shadi se hai
doston ki dosti dekhi hai jab se ai 'zafar'
ishq virane se hai to wahshat aabaadi se hai
(1113) Peoples Rate This