Kisi Ka Ho Nahin Sakta Hai Koi Kaam Roze Mein
kisi ka ho nahin sakta hai koi kaam roze mein
jo roze-dar hain karte hain wo aaram roze mein
ise DapTa use ghuDka ise piTa use kuTa
macha rahta hai ghar mein subh se kohram roze mein
KHabar kar do mohalle mein agar chheDa kisi ne bhi
usi dam main macha sakta hun qatl-e-am roze mein
mujhe achchhi nahin lagti hai teri dil-lagi begam
tere aaghaz ka hoga bura anjam roze mein
koi bahr-e-salami dopahar ke baad kyun aae
tumhin kah do main us ko kyun na dun dushnam roze mein
andhera chha gaya aankhon-tale daftar na jaunga
mere sar mein lagao roghan-e-baadam roze mein
agar dekhoge ibrat ki nazar se mere chehre ko
nazar aaegi is mein gardish-e-ayyam roze mein
paDe the halq mein kanTe to din mein pi liya sharbat
are zalim mujhe karta hai kyun badnam roze mein
namazon ki kahan taqat tilawat ka kahan yara
mujhe dete ho kyun tum maut ka paigham roze mein
dikhaya doctor ko jab to us ne mujh se ye puchha
tujhe har sal ho jata hai kyun sarsam roze mein
paraThe chaar do murgh-e-musallam khae sahri mein
shikam mein hai ye kaisa shor-e-be-hangam roze mein
ye rishwat ke hain paise din mein kaise lun musalman hun
main le sakta nahin sar apne ye ilzam roze mein
tere darbar mein tera ye banda arz karta hai
ilahi das baje din mein hi kar de sham roze mein
karunga kaam roze mein 'zafar' main us muakkil ka
jo bhejega bila-nagha mere ghar aam roze mein
(1281) Peoples Rate This