Ishq Jab Se Ho Gaya Ek Lakhnawi KHatun Se
ishq jab se ho gaya ek lakhnawi KHatun se
dil ki baaten roz hi karta hun telephone se
jo ghalazat dil mein hai wo dur hogi kis tarah
gandagi to jism ki dhote ho tum sabun se
sherwani aur Topi jaen chulhe-bhaD mein
ab to raghbat hai mujhe bas coat se patlun se
pople munh se chane khana nahin mumkin huzur
aa nahin sakti jawani lauT ke majun se
naqid-e-azam hun muli par likhun mazmun agar
baat ka aaghaz karta hun main aflatun se
ek hi surat mein ghar ki puri hon farmaishen
KHandani silsila milta ho gar qarun se
is zamane ki ajab tishna-labi hai ai 'zafar'
pyas us ki sirf bujhti hai hamare KHun se
(1277) Peoples Rate This