Hansi Mein Haq Jata Kar Ghar-jamai Chhin Leta Hai
hansi mein haq jata kar ghar-jamai chhin leta hai
mere hisse ki TuTi chaarpai chhin leta hai
use mauqa mile to pai pai chhin leta hai
yahan bhai ki KHushiyan us ka bhai chhin leta hai
bhala fursat kise hai jo yahan rishton ko pahchane
ye daur-e-KHud-farebi aashnai chhin leta hai
jahaalat mein wo kaamil hai moallim ban gaya kaise
paDhata hai ki bachchon ki paDhai chhin leta hai
rawa hai us ko har sarqa tawarud ke bahane se
kabhi nazmen kabhi ghazlen parai chhin leta hai
koi qabu nahin chalta ki us ke husn ka Daku
kisi bhi parsa ki parsai chhin leta hai
mera mahbub natwarlal hai kya jo mere dil ko
dikha kar apne hathon ki safai chhin leta hai
baDa chaalak hai shagird se ustad hairan hain
ghazal kahte hi wo ban kar qasai chhin leta hai
hum apni qaum ka jab chahte hain rahnuma banna
koi dada hamari rahnumai chhin leta hai
salamat mera sarmaya kabhi rahne nahin pata
na chhine wo to koi x y chhin leta hai
kamai chhoTe afsar bhi kiya karte hain lakhon mein
magar sab se baDa afsar malai chhin leta hai
badan mera ThiThur jata hai us ki sard-mehri se
wo zalim hai mohabbat ki razai chhin leta hai
buDhape ke liye koi raqam jab bhi bachata hun
to beTa hi use de kar duhai chhin leta hai
yahi maghrib ki KHubi hai yahi faizan hai us ka
burai banT deta hai bhalai chhin leta hai
nikalne hi nahin deta kisi ko apne phande se
dimagh o dil se tadbir-e-rihai chhin leta hai
'zafar' tum waqt se Darte raho is par nazar rakkho
ye dil-bar se bhi us ki dilrubai chhin leta hai
(1331) Peoples Rate This