Tab-e-raushan Ko Meri Kuchh Is Tarah Bhai Ghazal
tab-e-raushan ko meri kuchh is tarah bhai ghazal
jab bhi main tanha hua hun mujh ko yaad aai ghazal
jab bhi din Duba hui fikr-e-suKHan lahaq mujhe
sham hote hi mere saghar mein dar aai ghazal
yaad jab aae mujhe bichhDe hue sathi mere
kanpte honTon ki har silwaT pe lahrai ghazal
phul si aankhon mein angare liye phirta hun main
raat bhar sone kahan deti hai harjai ghazal
rang sochon ke bikhar jate hain ehsasat par
zehn mein shaer ke jab leti hai angDai ghazal
na-gahan logon ne dil mera dikhaya to mujhe
yun laga goya mere dukh banTne aai ghazal
mujh ko yaad aaya bahut wo na-murad-e-ishq 'mir'
dil ke taron par 'zafar' mutrib ne jab gai ghazal
(1254) Peoples Rate This