SimTun To Sifr Sa Lagun Failun To Ek Jahan Hun Main
simTun to sifr sa lagun failun to ek jahan hun main
jitni ki ye zamin hai utna hi aasman hun main
mere hi dam-qadam se hain qaem ye naghma-KHwaniyan
gulzar-e-hast-e-bud ka tuti-e-KHush-bayan hun main
mujh hi mein zam hain jaan le dariya tamam dahr ke
qatra na tu mujhe samajh ek bahr-e-be-karan hun main
nazan hai KHadd-o-KHal par apne bahut agar to sun
mujh mein sabhi ke aks hain aaina-e-jahan hun main
pahle bhi main qarib tha ab bhi tere qarib hun
mahsus kar mujhe tera ham-zad-e-jism-o-jaan hun main
phulon se pyar kar magar mujh ko na dil-figar kar
kanTa bhi hun agar to kya phulon ke darmiyan hun main
apnon mein main hi ghair hun ghairon se kya gila 'zafar'
apne hi ghar mein hun magar ghairon ke darmiyan hun main
(1269) Peoples Rate This