Sard Ruton Mein Logon Ko Garmi Pahunchane Wale Hath
sard ruton mein logon ko garmi pahunchane wale hath
barf ke jaise ThanDe kyun hain un banane wale hath
miTTi ke pyalon mein har din subh se apni sham karen
rang-birange phulon se gul-dan sajaane wale hath
aise the haalat ki chhuTa un ka mera sath magar
yaad bahut aate hain wo chuDi khankane wale hath
daftar se main ghar lauTun to puchhe mujh se tanhai
kab aaenge raaton ki taqdir jagane wale hath
suraj chand sitare jugnu jo chaho so nazr karen
nagri nagri aashaon ke dip jalane wale hath
jurm nahin hai sachchai to beja kyun matub hue
sachchai ka duniya mein parcham lahrane wale hath
dariya mein tufan hai lekin hai ab bhi ummid 'zafar'
par laga denge hum ko patwar chalane wale hath
(1200) Peoples Rate This