Khul Gain Aankhen Ki Jab Duniya Ka Sach Hum Par Khula
khul gain aankhen ki jab duniya ka sach hum par khula
apne andar sab khule hain kaun hai bahar khula
qatl se pahle zara chiKHon pe ek maqtul ki
kuchh dariche to khule lekin na koi dar khula
tang ho jae zamin bhi ab to koi gham nahin
hum faqiron ke liye hai aasman sar par khula
aadmi ke zahir-o-baatin mein kitna farq hai
aaj dauran-e-masafat hum pe ye manzar khula
do duaen shah ko jin ke zamane mein 'zafar'
wo pazirai hui 'ghaalib' ka har jauhar khula
(1339) Peoples Rate This