Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_7a35c64e839cdc493916b1d121d93afb, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
KhiDki Se Mahtab Na Dekho - Zafar Kaleem Poetry In English - Darsaal

KhiDki Se Mahtab Na Dekho

khiDki se mahtab na dekho

aise bhi tum KHwab na dekho

Dub rahe suraj mein yaro

din ki aab-o-tab na dekho

harjai hain log yahan ke

is basti ke KHwab na dekho

andar se hum TuT rahe hain

bahar ke asbab na dekho

fan dekho bas mallahon ka

dariya ke sailab na dekho

sachche sapne do aankhon ko

jhuTe hon wo KHwab na dekho

diwana hun diwana main

tum mere aadab na dekho

gham mein bhi hum KHush rahte hain

gham sahne ki tab na dekho

dekho apne aib 'zafar'-ji

kaise hain ahbab na dekho

(2156) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KhiDki Se Mahtab Na Dekho In English By Famous Poet Zafar Kaleem. KhiDki Se Mahtab Na Dekho is written by Zafar Kaleem. Read famous Poem KhiDki Se Mahtab Na Dekho for youth and Student by Zafar Kaleem. Free Download KhiDki Se Mahtab Na Dekho in PDF.