In Dinon Main Ghurbaton Ki Sham Ke Manzar Mein Hun
in dinon main ghurbaton ki sham ke manzar mein hun
meri chhat TuTi paDi hai dusron ke ghar mein hun
aaega ek din mere uDne ka mausam aaega
bas isi ummid par main apne baal-o-par mein hun
jism ki ranaiyon mein DhunDte ho tum mujhe
aur main kab se tumhaari ruh ke paikar mein hun
dekhte hain sab nazar aati huin unchaiyan
kaun dekhega mujhe buniyaad ke patthar mein hun
aap kya rokengi izhaar-e-sadaqat se mujhe
aap ko duniya ka Dar hai main KHuda ke Dar mein hun
ai zamane kal meri Thokar se bachna hai tujhe
ittifaqan aaj waise main teri Thokar mein hun
maut ban jaunga teri ai sitamgar dekhna
mujh pe jo KHanjar uThega main usi KHanjar mein hun
nafraton ki ek dahakti aag hai chaaron taraf
main fasad-e-shahr ke jalte hue manzar mein hun
sochta hun ye bhi kaisi bad-nasibi hai 'zafar'
main bahadur ho ke bhi haare hue lashkar mein hun
(1210) Peoples Rate This