Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_bced42032a4059e92ccd59d716f8df13, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ho Chuki Hijrat To Phir Kya Farz Hai Ghar Dekhna - Zafar Kaleem Poetry In English - Darsaal

Ho Chuki Hijrat To Phir Kya Farz Hai Ghar Dekhna

ho chuki hijrat to phir kya farz hai ghar dekhna

apni fitrat mein nahin pichhe palaT kar dekhna

ab wo bargad hai na wo panghaT na ab wo gopiyan

aise pas-manzar mein kya ganw ka manzar dekhna

jada-e-gul ki masafat hi nahin hai zindagi

zindagi karna hai angaron pe chal kar dekhna

apne muKHlis doston par war main kaise karun

koi dushman samne aae to jauhar dekhna

pyas honTon par liye baiTha hun sahil par magar

zid pe aa jaun to kuze mein samundar dekhna

khiDkiyan khulte hi hum honge nishana waqt ka

zaKHm sine par sajaana ho to bahar dekhna

mere hathon ki lakiron mein hai gardish waqt ki

meri qismat hi mein likkha tha ye chakkar dekhna

zindagi bhar Thokaren khane se behtar hai 'zafar'

rasta chalte hue raste ke patthar dekhna

(1355) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ho Chuki Hijrat To Phir Kya Farz Hai Ghar Dekhna In English By Famous Poet Zafar Kaleem. Ho Chuki Hijrat To Phir Kya Farz Hai Ghar Dekhna is written by Zafar Kaleem. Read famous Poem Ho Chuki Hijrat To Phir Kya Farz Hai Ghar Dekhna for youth and Student by Zafar Kaleem. Free Download Ho Chuki Hijrat To Phir Kya Farz Hai Ghar Dekhna in PDF.