Zamin Pe EDi RagaD Ke Pani Nikalta Hun
zamin pe eDi ragaD ke pani nikalta hun
main tishnagi ke nae maani nikalta hun
wahi baramad karunga jo chiz kaam ki hai
zaban ke baatin se be-zabani nikalta hun
falak pe likhta hun KHak-e-KHwabida ke manazir
zamin se rang-e-asmani nikalta hun
kabhi kabutar ki tarah lagta hai abr mujh ko
kabhi hawa se koi kahani nikalta hun
bahut zaruri hai mera apni hadon mein rahna
so bahr se KHud hi be-karani nikalta hun
kabhi mulaqat ho mayassar to is se pahle
dimagh se sari KHush-gumani nikalta hun
jo chheDta hun naya koi naghma-e-mohabbat
to saz-e-dil se dhunen purani nikalta hun
koi Thahar kar bhi dekhna chahta hun manzar
isi liye taba se rawani nikalta hun
'zafar' mere samne Thaharta nahin hai koi
to apne paikar se apna sani nikalta hun
(1287) Peoples Rate This