Yun To Kis Chiz Ki Kami Hai

yun to kis chiz ki kami hai

har shai lekin bikhar gai hai

dariya hai ruka hua hamara

sahra mein ret bah rahi hai

kya naqsh banaiye ki ghar mein

diwar kabhi nahin kabhi hai

KHwahish ka hisab bhi lagaun

laDki to bahut napi tuli hai

dil tang hai pas baiThne se

uThna chahun to rokti hai

hoti jati hai meri tashkil

jun jun mujh mein wo TuTti hai

taswir-e-KHizan lahu mein ab ke

pili pili hari hari hai

bahar se chaTan ki tarah hun

andar ki faza mein tharthari hai

pairaw nahin ek bhi 'zafar' ka

kis mazhab-e-saKHt ka nabi hai

(1294) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yun To Kis Chiz Ki Kami Hai In English By Famous Poet Zafar Iqbal. Yun To Kis Chiz Ki Kami Hai is written by Zafar Iqbal. Read famous Poem Yun To Kis Chiz Ki Kami Hai for youth and Student by Zafar Iqbal. Free Download Yun To Kis Chiz Ki Kami Hai in PDF.