Yun To Hai Zer-e-nazar Har Majra Dekha Hua
yun to hai zer-e-nazar har majra dekha hua
phir nahin dekha hai wo rang-e-hawa dekha hua
wo tera tarz-e-taghaful ye tera begana-pan
wo alag dekha hua hai ye juda dekha hua
dekhte the jis ko pahli bar hairani se hum
asl mein pahle hamara wo bhi tha dekha hua
toD kar hi aarzu pahunchi kahin payan-e-kar
ghup-andhere mein koi band-e-qaba dekha hua
dekhna paDta hai kya batlaen phir kyun bar bar
wo jo manzar tha hamara bar-ha dekha hua
farq hi donon mein kuchh baqi nahin ab to koi
kya nahin dekha hua hai aur kya dekha hua
ajnabi mere liye phir bhi hai kyun mera wajud
dar-ba-dar DhunDa hua aur ja-ba-ja dekha hua
ye jo an-dekhi guzargahon pe hain mere qadam
shayad in mein bhi hai koi rasta dekha hua
jo nai tarz-o-rawish mujh ko dikhate ho 'zafar'
ye to meri jaan sab kuchh hai mera dekha hua
(1228) Peoples Rate This