Ye Nahin Kahta Ki Dobara Wahi Aawaz De
ye nahin kahta ki dobara wahi aawaz de
koi aasani to paida kar koi aawaz de
main use sun kar bhi aane ka nahin majbur hun
phir bhi apne KHwab-KHane se kabhi aawaz de
ho sake donon zamanon mein ham-ahangi koi
main purana hun to kya mujh ko nai aawaz de
maut ke sahil par istada hun to mujh ko kahin
zindagi ke paniyon mein Dubti aawaz de
Thik hai tu ne pukara hoga jis-tis ko magar
mere hisse mein koi aai hui aawaz de
bin bulaya hi chala aaunga main shayad kabhi
lekin itne shor mein to aap bhi aawaz de
main use pahchan hi paun na pahli bar to
koi aawazon ke jangal mein ghiri aawaz de
munh se kuchh kah to sahi is KHamushi ke aar-par
mustaqil ko chhoD koi sarsari aawaz de
tu ne to har haal mein sunna hai ab tujh ko 'zafar'
raushni aawaz de ya tirgi aawaz de
(1532) Peoples Rate This