Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_9f98dfe1a7e1c933b850a2497fe3270e, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Wo Ek Tarha Se Iqrar Karne Aaya Tha - Zafar Iqbal Poetry In English - Darsaal

Wo Ek Tarha Se Iqrar Karne Aaya Tha

wo ek tarha se iqrar karne aaya tha

jo itni dur se inkar karne aaya tha

KHushi jo KHwab mein bhi meri dastaras se thi dur

mujhe isi ka saza-war karne aaya tha

ye saf lagta hai jaisi ki us ki aankhen thin

wo asl mein mujhe bimar karne aaya tha

agar tha us ko meri haisiyat ka andaza

to kyun wo apna KHaridar karne aaya tha

ye zindagi ki jo aasan nahin thi pahle bhi

use kuchh aur bhi dushwar karne aaya tha

agarche ek hi sust-ul-wajud tha lekin

wo kaam koi lagatar karne aaya tha

mere to bas mein koi chiz thi na pahle bhi

wo mujh ko aur bhi lachaar karne aaya tha

wo ek abr-e-giran-e-bar tha magar is din

zara faza ko hawa-dar karne aaya tha

adawaton mein wahan dhar liya gaya hun 'zafar'

jahan ke logon se main pyar karne aaya tha

(1594) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Ek Tarha Se Iqrar Karne Aaya Tha In English By Famous Poet Zafar Iqbal. Wo Ek Tarha Se Iqrar Karne Aaya Tha is written by Zafar Iqbal. Read famous Poem Wo Ek Tarha Se Iqrar Karne Aaya Tha for youth and Student by Zafar Iqbal. Free Download Wo Ek Tarha Se Iqrar Karne Aaya Tha in PDF.