Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_8dc0d7eb8e2d18863862e5938758c2c7, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Wahi Mere KHas-o-KHashak Se Nikalta Hai - Zafar Iqbal Poetry In English - Darsaal

Wahi Mere KHas-o-KHashak Se Nikalta Hai

wahi mere KHas-o-KHashak se nikalta hai

jo rang sa teri poshak se nikalta hai

karega kyun na mere baad hasraton ka shumar

tera bhi hissa in imlak se nikalta hai

hawa ke sath jo ek bosa bhejta hun kabhi

to shola us badan-pak se nikalta hai

mile agar na kahin bhi wo be-libas badan

to mere dida-e-namnak se nikalta hai

utarta hai mujhe nind ke niastan mein

abhi wo KHwab rag-e-tak se nikalta hai

fasil-e-fahm ke andar bhi kuchh nahin maujud

na koi KHema-e-idrak se nikalta hai

dhuen ki tarha se ek phul mere hone ka

kabhi zamin kabhi aflak se nikalta hai

mere siwa bhi koi hai jo mere hote hue

badal badal ke meri KHak se nikalta hai

ye mojaze se koi kam nahin 'zafar' apna

jo kaam us but-e-chaalak se nikalta hai

(1124) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wahi Mere KHas-o-KHashak Se Nikalta Hai In English By Famous Poet Zafar Iqbal. Wahi Mere KHas-o-KHashak Se Nikalta Hai is written by Zafar Iqbal. Read famous Poem Wahi Mere KHas-o-KHashak Se Nikalta Hai for youth and Student by Zafar Iqbal. Free Download Wahi Mere KHas-o-KHashak Se Nikalta Hai in PDF.