UTh Aur Phir Se Rawana Ho Dar Ziyaada Nahin
uTh aur phir se rawana ho Dar ziyaada nahin
bahut kaThin sahi manzil safar ziyaada nahin
bayan mein apne sadaqat ki hai kami warna
ye raaz kya hai ki is par asar ziyaada nahin
mujhe KHarab kiya us ne han kiya hoga
usi se puchhiye mujh ko KHabar ziyaada nahin
suna hai wo mere bare mein sochta hai bahut
KHabar to hai hi magar mo'atabar ziyaada nahin
ye justuju to rahe kaun hai wo kaisa hai
suragh kuchh to malega agar ziyaada nahin
abhi rawana hun yaksui se main dasht-ba-dasht
ki rahguzar-e-safar mein shajar ziyaada nahin
jabhi to KHar-e-dil-e-dostan nahin hun abhi
ki aib mujh mein bahut hain hunar ziyaada nahin
dinon ki baat hai ab kimiya-gari apni
ki rah gai hai zara si kasar ziyaada nahin
'zafar' hum aap ko gumrah to nahin kahte
yahi ki hain bhi agar rah par ziyaada nahin
(1279) Peoples Rate This