Tere Raston Se Jabhi Guzar Nahin Kar Raha
tere raston se jabhi guzar nahin kar raha
ki mein apni umr abhi basar nahin kar raha
koi baat hai jo hai darmiyan main ruki hui
koi kaam hai jo main raat-bhar nahin kar raha
hai koi KHabar jo chhipae baiTha hun KHalq se
koi KHwab hai jise dar-ba-dar nahin kar raha
teri baat koi bhi manta nahin shahr mein
to mera kaha bhi kahin asar nahin kar raha
kahin mere gird-o-nawah mein koi shai nahin
main kisi taraf bhi abhi nazar nahin kar raha
koi shaKH hai jise barg-o-bar nahin mile
koi sham hai jise main shajar nahin kar raha
koi is pe ghaur agar kare bhi to kis liye
ye suKHan main aap bhi soch kar nahin kar raha
abhi meri apni samajh mein bhi nahin aa rahi
main jabhi to baat ko muKHtasar nahin kar raha
ye main apne aib jo kar raha hun ayan 'zafar'
to dar-asl ye bhi koi hunar nahin kar raha
(1144) Peoples Rate This