Tere Labon Pe Agar SurKHi-e-wafa Hi Nahin
tere labon pe agar surKHi-e-wafa hi nahin
to ye banao ye saj dhaj tujhe rawa hi nahin
main teri ruh ki patti ki tarah kanp gaya
hawa-e-subh-e-subuk-gam ko pata hi nahin
kisi umid ke phulon bhare shabistan se
jo aankh mal ke uTha hun to wo hua hi nahin
faraaz-e-sham se girta raha fasana-e-shab
gada-e-gauhar-e-guftar ne suna hi nahin
chamak raha hai meri zindagi ka har lamha
main kya karun ki meri aankh mein ziya hi nahin
(1317) Peoples Rate This