Tere Aasman Ki Zamin Ho Gaya Hun
tere aasman ki zamin ho gaya hun
hua hun to apne tain ho gaya hun
mili hai jagah dil mein thoDi si us ke
samajh lo ki gosha-nashin ho gaya hun
yahan par main hona nahin chahta tha
magar hote hote yahin ho gaya hun
tere panw paDne se inkar kar dun
main itna to KHud-sar nahin ho gaya hun
jahan mujh ko hone se roka tha us ne
nahin baz aaya wahin ho gaya hun
makan jis ka naqsha abhi ban raha hai
main filhaal us ka makin ho gaya hun
tawajjoh ka talib hun is tarah se bhi
agar aap ka nukta-chin ho gaya hun
buDhape se agli ye manzil hai koi
jawan ho gaya hun hasin ho gaya hun
ise bhi 'zafar' meri himmat hi samjho
kahin ho na paya kahin ho gaya hun
(1062) Peoples Rate This