Taqaza Ho Chuki Hai Aur Tamanna Ho Raha Hai
taqaza ho chuki hai aur tamanna ho raha hai
ki sidha chahta hun aur ulTa ho raha hai
ye taswiren sadaon mein Dhali jati hain kyun kar
ki aankhen band hain lekin tamasha ho raha hai
kahin Dhalti hai sham aur phuTti hai raushni si
kahin pau phaT rahi hai aur andhera ho raha hai
pas-e-mauj-e-hawa barish ka bistar sa bichhane
sar-e-baam-e-nawa baadal ka TukDa ho raha hai
jise darwaza kahte the wahi diwar nikli
jise hum dil samajhte the wo duniya ho raha hai
qadam rakkhe hain is payab mein hum ne to jab se
ye dariya aur gahra aur gahra ho raha hai
KHarabi ho rahi hai to faqat mujh mein hi sari
mere chaaron taraf to KHub achchha ho raha hai
kahan tak ho saka kar-e-mohabbat kya bataen
tumhaare samne hai kaam jitna ho raha hai
guzarte ja rahe the hum 'zafar' lamha-ba-lamha
samajhte the ki ab apna guzara ho raha hai
(1048) Peoples Rate This