Sirf Aankhen Thin Abhi Un Mein Ishaare Nahin The
sirf aankhen thin abhi un mein ishaare nahin the
dil pe mausam ye mohabbat ne utare nahin the
jaisi raaton mein safar hum ne kiya tha aaghaz
sar-ba-sar samten hi samten thin sitare nahin the
ab to har shaKHs ki KHatir hui matlub hamein
hum kisi ke bhi nahin the jo tumhaare nahin the
jab hamein koi tawaqqo hi nahin thi tum se
aise us waqt bhi haalat hamare nahin the
mohlat-e-umr mein rahne diye us ne shamil
jo shab o roz kabhi hum ne guzare nahin the
jab nazare the to aankhon ko nahin thi parwa
ab inhi aankhon ne chaha to nazare nahin the
Dub hi jaana muqaddar tha hamara ki wahan
jis taraf dekhiye pani tha kinare nahin the
kyun nahin ishq bhala har-kas-o-na-kas ka shiar
is tijarat mein agar itne KHasare nahin the
Thik hai koi madad ko nahin pahuncha lekin
ye bhi sach hai ki 'zafar' hum bhi pukare nahin the
(1260) Peoples Rate This