Safar KaThin Hi Sahi Jaan Se Guzarna Kya
safar kaThin hi sahi jaan se guzarna kya
jo chal paDe hain to ab rah mein Thaharna kya
jo dil mein gunjti ho aankh se jhalakti ho
kisi ke samne us baat se mukarna kya
inhi rawan dawan lahron pe zindagi kaT jae
ho tera sath mayassar to par utarna kya
mile na gauhar-e-maqsud Dub kar bhi agar
to lash ban ke phir us bahr se ubharna kya
jis aab-rud ki auqat chand qatre ho
to us ko phandna kya us mein panw dharna kya
jahan ghurur hunar-parwari ho pumba-e-gosh
wahan takalluf-e-arz-e-niyaz karna kya
fasad-e-KHalq bhi hangama didani tha 'zafar'
phir ek bar wahi shosha chhoD Darna kya
(1356) Peoples Rate This