Rafta Rafta Lag Chuke The Hum Bhi Diwaron Ke Sath
rafta rafta lag chuke the hum bhi diwaron ke sath
hashr apna bhi yahi tha hum bhi the saron ke sath
ek halchal si machi rahti hai dil mein har ghaDi
sath hain pyare hamare hum nahin pyaron ke sath
lag gai thi maut ki apni bhi chhoTi si KHabar
aaKHir apna bhi talluq tha in aKHbaron ke sath
aa rahi hai un ki KHu bu apne andar bhi kahin
hain reaya hi magar rahte hain sardaron ke sath
farz kuchh pagDi bachana bhi hai lekin ek din
dekhna sar bhi chale aaenge dastaron ke sath
dur se to farq hi koi nazar aata nahin
is tarah rul mil gae hain phul angaron ke sath
ho gai hai shakl hi tabdil darbaron ki ab
warna hum bhi kam nahin wabasta darbaron ke sath
paD gae the raegan pahchan ke chakkar mein hum
apni marzi se jo hum uDte nahin Daron ke sath
be-talluq bhi hai wo hum ne bhi hai ab tak 'zafar'
rabta joDa hua TuTe hue taron ke sath
(1409) Peoples Rate This