Pata Chala Koi Girdab Se Guzarte Hue
pata chala koi girdab se guzarte hue
na band hote hue bab se guzarte hue
ki ye to rakhta pareshan hi mujhe shab-bhar
main jag uTha hun tere KHwab se guzarte hue
main apne dil ke andheron ko yaad rakhta hun
tere badan ki tab-o-tab se guzarte hue
hawa-e-KHauf-e-KHizan mein larazta rahta hun
kisi bhi wadi-e-shadab se guzarte hue
mujhe jo milti nahin dushmanon ki KHair-KHabara
to puchh leta hun ahbab se guzarte hue
zamin pe dekhta hun aab mein gulab rawan
aur aasman pe surKHab se guzarte hue
main chhoD aaya hun pichhe hazar-ha meinDak
suKHan-sarai ke talab se guzarte hue
mujhe to ek bahana hi chahiye tha faqat
ki Dub jaunga payab se guzarte hue
kahan chali gain karke ye toD phoD 'zafar'
wo bijliyan mere aasab se guzarte hue
(1228) Peoples Rate This