Nahin Ki Dil Mein Hamesha KHushi Bahut Aai
nahin ki dil mein hamesha KHushi bahut aai
kabhi taraste rahe aur kabhi bahut aai
mere falak se wo tufan nahin uTha phir se
meri zamin mein wo tharthari bahut aai
jidhar se khol ke baiThe the dar andhere ka
usi taraf se hamein raushni bahut aai
wahan maqam to rone ka tha magar ai dost
tere firaq mein hum ko hansi bahut aai
rawan rahe safar-e-marg par yunhi warna
hamari rah mein ye zindagi bahut aai
yahan kuchh apni hawaon mein bhi uDe hain bahut
hamare KHwab mein kuchh wo pari bahut aai
na tha ziyaada kuchh ehsas jis ke hone ka
chala gaya hai to us ki kami bahut aai
na jaane kyun meri niyyat badal gai yak-dam
wagarna us pe tabiat meri bahut aai
'zafar' shuur to aaya nahin zara bhi hamein
bajae is ke magar shairi bahut aai
(1329) Peoples Rate This