Na Usko Bhul Pae Hain Na Humne Yaad Rakkha Hai
na us ko bhul pae hain na hum ne yaad rakkha hai
dil-e-barbaad ko is tarha se aabaad rakkha hai
jhamele aur bhi suljhane wale hain kai pahle
aur us ke wasl ki KHwahish ko sab se baad rakkha hai
ruka rahta hai chaaron samt ashk o aah ka mausam
rawan har lahza karobar-e-abr-o-baad rakkha hai
phir is ki kaamyabi ka koi imkan hi kya ho
agar us shoKH par dawa hi be-buniyaad rakkha hai
KHizan ke KHushk patte jis mein din-bhar khaDkhaDate hain
isi mausam ka nam ab ke bahaar-ijad rakkha hai
ye kya kam hai ki hum hain to sahi fahrist mein us ki
bhale na-shad rakkha hai ki hum ko shad rakkha hai
jise lafz-e-mohabbat ke maani tak nahin aate
use apne liye hum ne yahan ustad rakkha hai
jawab apne ko chahe jo bhi wo malbus pahnae
sawal is dil ne us ke aage madar-zad rakkha hai
'zafar' itna hi kafi hai jo wo raazi rahe hum par
kamar apni pe koi bojh hum ne lad rakkha hai
(1406) Peoples Rate This