Na Guman Rahne Diya Hai Na Yaqin Rahne Diya
na guman rahne diya hai na yaqin rahne diya
rasta koi khula hum ne nahin rahne diya
us ne TukDon mein bikhera hua tha mujh ko jahan
ja uThaya hai kahin se to kahin rahne diya
saj rahe the ye shab o rose kuchh aise tujh se
hum ko duniya hi pasand aa gai din rahne diya
KHud to baghi hue hum tujh se magar sath hi sath
dil-e-ruswa ko tere zer-e-nagin rahne diya
ja-ba-ja is mein bhi tere hi nishan the shamil
hum ne ek naqsh agar apne tain rahne diya
ek KHabar thi jise zahir na kiya hum ne kabhi
ek KHazana tha jise zer-e-zamin rahne diya
KHud to bahar hue hum KHana-e-dil se lekin
wo kisi KHwab mein tha us ko yahin rahne diya
aasman se kabhi hum ne bhi utara na use
aur us ne bhi hamein KHak-nashin rahne diya
hum ne chheDa nahin ashya-e-mohabbat ko 'zafar'
jo jahan par thi paDi us ko wahin rahne diya
(1210) Peoples Rate This