Na GhaT Hai Koi Apna Na Ghar Hamara Hua
na ghaT hai koi apna na ghar hamara hua
qayam ab ke sar-e-rah-guzar hamara hua
gharaz rahi na kabhi manzilon se koi hamein
hamesha apne hi andar safar hamara hua
usi ki raushni kaam aai umr-bhar apne
jo ek sitara faqat sham-bhar hamara hua
hamare hisse mein diwar hi rahi din raat
koi daricha hamara na dar hamara hua
hamare KHun se guzar kar hi tegh-e-barq bujhi
hamare KHas mein utar kar sharar hamara hua
zar-e-suKHan jo luTaya hai raste mein kahin
to dur dasht-e-hawa mein KHatar hamara hua
rahe hain be-samar o saya hi sar-e-hasti
barae nam yahan par shajar hamara hua
isi mein uljhe hue hain hamare panw abhi
jo ek KHwab kabhi sar-ba-sar hamara hua
kisi sanad ki zarurat nahin paDi hai 'zafar'
hamara aib hi aaKHir hunar hamara hua
(1357) Peoples Rate This