Milun Us Se To Milne Ki Nishani Mang Leta Hun
milun us se to milne ki nishani mang leta hun
takalluf-bartaraf pyasa hun pani mang leta hun
sawal-e-wasl karta hun ki chamkaun lahu dil ka
main apna rang bharne ko kahani mang leta hun
ye kya ahl-e-hawas ki tarah har shai mangte rahna
ki main to sirf us ki mehrbani mang leta hun
wo sair-e-subh ke aalam mein hota hai to main us se
ghaDi bhar ke liye KHwab-e-jawani mang leta hun
jahan rukne lage mere dil-e-bimar ki dhaDkan
main un qadmon se thoDi si rawani mang leta hun
mera meyar meri bhi samajh mein kuchh nahin aata
nae lamhon mein taswiren purani mang leta hun
ziyan-kari 'zafar' buniyaad hai meri tijarat ki
subuksari ke badle sargirani mang leta hun
(1563) Peoples Rate This