Mila To Manzil-e-jaan Mein Utarne Na Diya
mila to manzil-e-jaan mein utarne na diya
wo kho gaya to kisi ne pukarne na diya
rawan dawan hai yunhi kashti-e-zaman ab bhi
magar wo lamha jo dil ne guzarne na diya
lagi thi jaan ki bazi bisat ulaT Dali
ye khel bhi hamein yaron ne haarne na diya
koi sada mere sabr-o-sukut se na uThi
koi maza tere qaul-o-qarar ne na diya
wahi ilaj-e-shab-e-saKHti-e-KHizan tha 'zafar'
jo ek phul kisi nau-bahaar ne na diya
(1225) Peoples Rate This