Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_891c33c17b99187961f6d27eea85ba92, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Mere Nishan Bahut Hain Jahan Bhi Hota Hun - Zafar Iqbal Poetry In English - Darsaal

Mere Nishan Bahut Hain Jahan Bhi Hota Hun

mere nishan bahut hain jahan bhi hota hun

magar dar-asl wahin be-nishan bhi hota hun

usi ke rahta hun KHwab-o-KHayal mein aksar

magar kabhi kabhi apne yahan bhi hota hun

idhar udhar mujhe rakhta hai wo bahut lekin

kabhi-kabhaar magar darmiyan bhi hota hun

laga bhi karti hai bazar mein meri qimat

kisi kisi ke liye raegan bhi hota hun

banae rakhte hain sab mir-e-karwan bhi mujhe

kabhi main gard-e-rah-e-karwan bhi hota hun

bashar hun main kai majburiyan bhi hain meri

udas rahte hue shadman bhi hota hun

paDa TheThurta bhi hun barf barf mausam mein

usi zamane mein aatish-fishan bhi hota hun

badalti rahti hai meri bhi kaifiyat kya kuchh

ki aag hi nahin rahta dhuan bhi hota hun

main jaan-o-jism hun ghar ho ki wo gali ho 'zafar'

yahan bhi hota hun main aur wahan bhi hota hun

(1374) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mere Nishan Bahut Hain Jahan Bhi Hota Hun In English By Famous Poet Zafar Iqbal. Mere Nishan Bahut Hain Jahan Bhi Hota Hun is written by Zafar Iqbal. Read famous Poem Mere Nishan Bahut Hain Jahan Bhi Hota Hun for youth and Student by Zafar Iqbal. Free Download Mere Nishan Bahut Hain Jahan Bhi Hota Hun in PDF.