Mausam Ka Hath Hai Na Hawa Hai KHalaon Mein
mausam ka hath hai na hawa hai KHalaon mein
phir us ne kiya tilism rakha hai KHalaon mein
jo TuTti bikharti si rahti hai raat din
kuchh is tarah ki ek sada hai KHalaon mein
jari hai raushni ka safar dur dur tak
kya khel koi khel raha hai KHalaon mein
manzar bhi muKHtalif hain juda is ke rang bhi
jis tarha koi KHwab-e-nawa hai KHalaon mein
jari hai kahkashaon ki baraat is tarah
mela sa jaise koi laga hai KHalaon mein
sanat-gari ki ramz alag hai zamin par
karigari ka raaz juda hai KHalaon mein
raftar aur waqt ka andaza hai kuchh aur
fitrat ki muKHtalif hi ada hai KHalaon mein
is kaenat ki koi had hi nahin 'zafar'
apna hi us ne tarz rakha hai KHalaon mein
(1225) Peoples Rate This