Maine Kab Dawa Kiya Tha Sar-ba-sar Baqi Hun Main
main ne kab dawa kiya tha sar-ba-sar baqi hun main
pesh-e-KHidmat hon tumhaare jis qadar baqi hun main
main bahut sa jaise zaea ho chuka hun ja-ba-ja
hath se mahsus karta hun kidhar baqi hun main
DhunDte hain ab jahan mera nishan tak bhi nahin
us taraf bhi dekh lena tha jidhar baqi hun main
meri tafsilat mein jaane ka mauqa ab kahan
ab to aasan hai samajhna muKHtasar baqi hun main
din chaDhe hona na hona ek sa rah jaega
ye bhi kya kam hai ki ab se raat bhar baqi hun main
KHarch sara ho chuka hun aur duniya mein kahin
kuchh agar hun bhi to KHud se be-KHabar baqi hun main
main kisi kaam aa bhi sakta hun agar samjhe koi
aaj bhi KHas-KHana-e-dil mein sharar baqi hun main
main agar baqi nahin hun to bhi hai kis ko gharaz
aur hai parwa yahan kis ko agar baqi hun main
kuchh bhi ho be-sud hai mujh se safar karna 'zafar'
jo kahin jati nahin wo rah-guzar baqi hun main
(2396) Peoples Rate This